Archive for January, 2009

…:::kion hai:::…

Tery Tasweer mairy Ankhoon main Basee kion hai
Jidhar dekhoon bus udhar tu hi kion hai

Tery yadoon se wabasta mairy takdeer hai lekin
Tujhe na paa ker mairy takdeer roothi kion hai

Mujh ko hai khaber asaan nahien tujhe haasil karna
phir bhi yeah intizaar yeah bekarari kion hai

Barsoon guzer gaye mairay tanhayee main lekin
Meri banhoon ko aaj bhi tera intizaar kion hai

Tery chahat ki kasam khoon ke aansoon royaa hoon
Ab nahien hai kuch baqi phir yeah jaan baqi kion hai

Khatam huwa mera yeah afsana ik baat bata doon lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeah muhabbat kion hai

Leave a Comment

…:::Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hain:::…

Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din thahr ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharab haloon se
So apnay aap ko barbad ker ke dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chushm-e nazuk us ki
So hum bhi us ki gali se guzer ker dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So hum bhi mojazay apnay huner ke dekhtay hain

Suna hai bolay to batoon se phool jharatay hain
Yeah baat hai to chalo baat ker ke dekhtay hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se uter ker dekhtay hain

Suna hai hasher hain us ki gazal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai din ko use titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh ker hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzer ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh ankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulab jalte hain
So hum bahar per ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai Aiyna tamasal hai jabeen us ka
Jo sada dil hain ban sanwer ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phool apani qabayain qater ke dekhtay hain

Wo saroqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay summar ke dekhtay hain

Bas ik nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahrawaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain

Rukay to gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain

Kisay naseeb ke be pairhun usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o deewaar ghar ke dekhtay hain

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Ager woh khwab hai tabir ker ke dekhtay hain

Ab us ke sheher main thahrian ke kouch ker Jaien
Faraz aao sitaray safer ke dekhtay hain

By: Ahmad Faraz

Comments (3)

…:::Muhabbat Kum Na Hogi:::…

Sitaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hogi
Yeah Naghmay Gungunanay Se Muhabbat Kum Na Hogi
Main Teri Chund Yadoon Ko Gazal Ka Roop De Doonga
Tumharay Aazmanay Se Muhabbat Kum Na Hogi
Duaoon Ke Tabassum Se Ghataoon Ka Jigar Piglay
Mager Yoon Muskuranay se Muhabbat Kum Na Hogi
Nashemun Zindagi Ka Noor Se Bhi Khoob Roshan Hai
Sumander Ke Lutna Se Muhabbat Kum Na Hogi
Faraq-o-Wasal Ki Batien To Touheen -e- Muhabbat Hain
Kisi Ke Door Janay Se Muhabbat Kum Na Hogi
Charaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Her Ghari Her Dum
Ke Teray Yoon Satanay Se Muhabbat Kum Na Hogi

Comments (3)

…:::Suno!!!:::…

SUNO!!
Kiya Tumhain Bhi ,,
Raat Ki Tanhaiyoon Main,,
Koi Satata Hai, Tarapata Hai,,
Kaan Main Kuch Kehta Mehsoos Hota Hai,,
Choota hai Tumhain,,
Ghal Tumharay Choomta Hai,,
SUNO!!
Ager Aisa Hai,,
jan-e-Man,,
To,,
Jaoo,,

Fooran Kerray Maar Dawayi Lee Aoo,,

QK,,
Kion Ke ,,

Wo Koi Aur Nahin “MACHAR” HAI

Leave a Comment

…::: Touching Hearts:::…

Life, its all about touching-
Bringing sunshine to others
Who dwell in gloom,
Giving a word of encouragement
To the faint hearted.
Gentle squeezes of a hug
To lift the spirit,
Wiping tears
From those that are crushed.
A kind word to an elder
To show they are loved,
Blessing the birth
Of a newborn child.
Holding of the hands
Sharing the warmth,
Giving our hearts
To commitments in life.
Sharing that special love
With someone so close,
It only takes a second
To touch a longing heart
Only to make a difference.

Leave a Comment

…:::ADAT C HO GAYE HAI:::…

Jab Se dil Lagaya Hai Tum Se
Sab kuch sahnay ki adat C Ho gaye hai

Intazar kertay hain hum aapka dair tuk
Aap ko na anay ki adat C ho gaye hai

Baat baat pe muskratay thay hum
Ab to ronay ki adat C ho gaye hai

Kabhi Talab kertay thay tumhain hum
Ab to berukhi sahnay ki Adat C ho gaye hai

Kabhi ik hamdard chatay thay hum bhi
Per Ab to tanha ghum sahnay ki adat C ho gaye hai

Jab Se Soachna shuroo kiya hai tumko
Sari Sari Raat jagnay ki Adat C ho gaye hai

UB TO CHAHYE CHOOR BHI DO HUMAIN
TUM BIN REHNE KI ADAT SE HO GAYEE HAI

Jise Bhi Chaha hum ne wo hamien chorde ker chala gaya
Ab to khonay ki Adat C ho gaye hai

Jab se Tum gay ho humien chorde ker
Tab se chup rahnay ki adat C ho gaye hai

Tum Se na koi shikwa na koi shikayat hai humien
Bas Khud Se shikayat ki Adat C Ho gaye hai

Maloom hai ke hamray kismat main tum nahi
Bas kismet se lardnay ki Adat C ho gaye hai

Wo Jahan bhi Rahay Khush rahay “Naeem”
Yeah hi Dua mangtay rehnay ki Adat C ho gaye hai

Leave a Comment

Older Posts »