Archive for December, 2008
12/31/2008 at 10:41 am
· Filed under General, Islamic ·Tagged 2008, Allah, Dua, Golden Thoughts, Hindi, Indian, Islam, Islamic, Last Message, Muslims, Pakistani, Urdu, Urdu Adab, Urdu Poetry, Urdu Rasala

Last Message Of 2008
Permalink
12/30/2008 at 10:47 am
· Filed under Islamic ·Tagged Golden Thoughts, Happy new year, hazrat imam hussain(A.S), Islamic, karbala, Muharram-ul-haram, Muslims, Pakistani, Urdu, Urdu Adab, Urdu Rasala

Urdu

English
Permalink
12/30/2008 at 7:17 am
· Filed under Ghazal, Urdu Poetry ·Tagged ae ishq, Barbaad, Ghazal, Hindi, Ishq, love, Muhabbat, Nazam, Pakistani, Payar, Poem, Poetry, Romantic Poetry, Sad Poetry, Urdu, Urdu Adab, Urdu Poetry
ae ishq na cherde Aa Aa ke humien
hum bhoole howoon ko yaad na ker
pehlay hi bohut nashad hain hum
to aur humien naashad na ker
qismat ka sitam hi kum nahien kuch
yeah taza sitam ijad na ker
yooN zulim na ker bedad na ker
ae ishq humien barbad na ker
jis din se mile hain donon ka
sab chain gaya aaram gaya
chehroon se bahaar-e-subah gaye
Ankhoon se faroG-e-shaam gaya
haathoon se Khushi kaa jaam choota
hontoon se haNsi ka naam gaya
Gamgeen na bana naashad na ker
ae ishq humien barbad na ker
Raatoon ko uTh uTh rote hain
ro ro ker Duien kerte hain
Ankhoon main Tasawur dil main Khalish
sir dhunte hain ahien bharte hain
ae ishq yeah kaisa rog laga
jeetay hain na zaalim marte hain
yeah zulim to ae jallad na ker
ae ishq humien barbad na ker
yeah rog laga hai jab se humien
ranjida hoon main bimaar hai wo
her waqt tapish her waqt Khalish
be-Khawab hooN main bedar hai wo
jeenay se idhar bezar hooN main
marnay pe udhar tayar hai wo
aur zabat kahay fariyad na ker
ae ishq humien barbad na ker
bedard zara insaf to ker
is umar main aur maghmoom hai wo
phehloon ki tarah nazuk hai abhi
taaroon ki tarah masoom hai wo
yeah husan sitam yeah ranj Ghazab
majaboor hooN main mazaloom hai wo
mazaloom pe yooN bedaad na ker
ai ishq humien barbad na ker
ae ishq Khudara dekh kahien
wo shoKh haseen badnaam na ho
wo maah-e-laqa badnaam na ho
wo zohra jabeen badnaam na ho
naamoos ka us ko paas rahe
wo pardaa-nasheen badnaam na ho
us parda nasheen ko yaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
ummeed ki jhooty jannat ke
rah rah ke na dikhala Khawaab humien
Aienda ke farzi ishrat ke
waade se na kar betaab humien
kahata hai zamana jis ko Khushi
ati hai nazar kaamayaab humien
chorde aisi Khushii ko yaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
do din hee main ahad-e-tifali ke
masoom zamanay bhool gaye
Ankhoon se wo Khushiyan miTt si gaien
lab ke wo taranay bhool gaye
un paak bahishtii Khawaboon ke
dilchasp fasaane bhool gaye
un Khawaaboon se yooN aazad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
Ankhoon ko yeah kiya azaar huwa
her jazb-e-nihaaN per ro dena
ahang-e-tarab pe jhuk jaana
awaz-e-fuGaaN per ro dena
barbat ki sada per ro dena
mutrib ke bayaaN per ro dena
ehasas ko Ghum bunyaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
ji chahata hai ik duusaray ko
yooN aaTh pahar hum kerien
Ankhoon main basayien Khawaboon ko
aur dil ko Khayaal abaad karien
Khilawat main bhi jo jalawat ka saamaaN
wahadat ko duwa se shaad karien
yeah arazooien ijaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
wo raaz hai yeah Ghum aah jise
paa jaaye koye to Khair nahien
Ankhoon se jab Ansoo bahate hain
aa jaaye koye to Khair nahien
zaalim hai yeah duniya dil ko
yahaaN bhaa jaaye koye Khair nahiin
hai zulim magar fariyaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
duniya ka tamaasha dekh liya
Ghamgeen si hai betaab si hai
ummeed yahaaN ik waham si hai
taskeen yahaaN ik Khawaab si hai
duniya main Khushi ka naam nahien
duniya main Khushi nayaab si hai
duniya main Khushi ko yaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
Permalink
12/30/2008 at 6:39 am
· Filed under Sad Poetry, Urdu Poetry ·Tagged Farhat Abass Shah, Ghazal, Hindi, Ik Nazar, Indian, Ishq, Muhabbat, Nazam, Pakistani, Payar, Poem, Poetry, Romantic Poetry, Sad Poetry, Sham ke bad, Urdu, Urdu Adab, Urdu Poetry
tune dekha hai kabhi ik nazar sham ke baad
kitanay chup-chaap se lagatay hain shajar sham ke baad
itane chup-chaap ke raastay bhi rahein gay laa-ilm
chor jaayei gay kisi roz nagar sham ke baad
main nein aisay hi gunah tery judaye main kiye
jaisay tufaan main koye chor de ghar sham ke baad
sham se pehlay wo mast apani uradnoon main raha
jis ke haathoon main the TuTe howay per sham ke baad
raat beti to gine aable aur phir socha
kon tha ba-e-se-aghaz-e-safar sham ke baad
to hai suraj tujhe maloom kahaan raat ka dukh
to kisi roz mairay ghar main utar shaam ke baad
lauT aaye na kissi roz wo awara majaaz
khol rakhate hain isi aas pe dar sham ke baad
Permalink
12/30/2008 at 6:32 am
· Filed under Sad Poetry, Urdu Poetry ·Tagged Ghazal, Hindi, Indian, Ishq, Muhabbat, Nazam, Pakistani, Payar, Poem, Poetry, Romantic Poetry, Sad Poetry, Urdu, Urdu Adab
Mujhe Roshni Ki Talab Bhi Thi
Mujhe Manziloon Ka Pata Bhi Tha
Mujhe Raastoon Ki Khaber Bhi Thi
Main Bashar Jo Tha , Maira Dil Bhi Tha
Mairay Dil Main Rang Bikhairti Hoi
Khuwhishoon Ka Hajoom Bhi Tha
Mairy Zindagi Ke Khalaoon Main
Kaye Tairtay Howay Khowab Thay
Mujhay Maangnay Ka Shaoor Tha
Mairay Lab Pay Hurf -e- Dua Bhi Tha
Main Bashar Jo Tha
Mujhe Roshni Ki Talab Jo Thi
Mujhe Raasto Ki Khabar Tu Thi
Mujhay Manzilo Ka Gumaa Tu Tha
Tu Nien Phir Bhi kaisay Samajh Liya
Koi Aarzo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujhe Tujh Say Bhar Kar Aziz Hai
Kabhi Is Taraf Se Guzar Howa
Tu Nazar Bacha Ke Yeah Dekhna
TERAY Baad Jitni Basar Hoi
Isay “UMAR” Kehna Durust Hai ??
Permalink
12/30/2008 at 6:28 am
· Filed under Sad Poetry, Urdu Poetry ·Tagged Ghazal, Hindi, Indian, Ishq, Muhabbat, Nazam, Pakistani, Payar, Poem, Poetry, Romantic Poetry, Sad Poetry, Urdu, Urdu Adab, Urdu Poetry
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Yaa’n Phir Bhula De
Usi Ka Kaam Tha Us Ki Raza Pe Chor Diya
Ab Us Ki Marzi Bhuja De Yaa’n Jala De
Chiragh Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chor Diya
Ab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehain Gain Hum
Yeah Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chor Diya
Is Liye Tu Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya…..
Permalink
Older Posts »